Pages

Santhoshi Mata Chalisa


Jai yug-yug ki Adi shakti, jag men prachalit hai nav bhakti
Adi, madhya aur avasana, teri gati vidhi koi na jana
Nirmal shradha men khush hoti, thode men santusht ho jati
Kali men nam dharyo Santoshi, agni tulya pratyaksha-vishekhi
Kala, gyan, bal, vidya, datri,tum sam saral sukhadan hindhatri
Sakal charachar tum se chalte, bhut-pret yamdut sinharte
Dushta dalan sanhar karni,Mata tum Brahmanda dharini
Sarasvati Lakshmi aur Kali,amit shakti ki khan nirali
Tumhare sharan gahe jo koi,mano kamana purna hoi
Tum Ganesh ki man kanya,tumse dharti ho gai dhanya
Riddhi, siddhi, hai tumhari mata,mangalmai vardana ke data
Brahma, Vishnu, Mahesh, Trimaya, us ka bat tujh men hai samaya
Sir par kanchan mukut suhata,sundar ratna sa muh dikhata
Madhur-manohar mukhda komal,pushpamal aur shyamal kuntal
Alankar sohit hain ang mein,navya divya tan meru rang mein
Sundar vastra mein mala rakhti,darshak ke man vash mein karti
Ga trilakh da dhare do hatha chatur bhuji ko tekahu matha
Sanmukh amritbhari surahi,sath kamdhenu manchahi
Svarna kalash rahta hai age,bhakton ke saubhag ya ham jage
Tumhare bhaktibhav jo pave,ajar amar jag mein ho jave
Namo namo, jagtaran hari,dukh daridra taro mahtari
Shukravar din ati anukula,Santoshi vrata mangalmula
Bahuvidhi mat ki puja kar,Santoshi kl katha shravan kar
Gud aur chana prasad chadhave, nirhar ek jun manave
Savadhan us din yah rakkhe, bhul se khatta deve na chakhe
Nahin to matu kupitu ho jati,bansh sahit santan nasati
Shukravar solah vrat rakhe,udya pan-utsah se manave
Phir to ichchha puran hoi,matu kripa se der na hoi
Adbhut devi chamatkarini,pal men chinta pidha harini
Ja par kripa matu ki hoi,jit sake na usko koi
Dhanvivek sukhshanti pradayini,is yug ki navpran vidhayini
Tum sam devi kou nahin, dekh liya mein Tribhuvan mahin
Dukh ati pai bahu bichari,pati viyog ki vah dukhyari
Nariyal-khopar pikar pani, bhus ki roti khai abhagini
Santoshi ka vrat jo kinhin,pati sahit vaibhav pa linha
Pida, chinta katahu marta, ashtsiddhi navanidhi ki data
Santoshi upvas kare jo, sukh sampati ka bhog kare vo
Vahan vahan sab thaur samai,tumhari mahima kahi na jai
Man vanchhit var pavai kvari, paye suhag sadhva sannari
Sukh dhan jan sab manokamna, purna hogi satya janana
Path sava sau karai jo koi,mitai kasht sukh-sampati hoi.
DOHAA
Santoshi sankat haran,he chamatkar ki murti
Grah badha ko dur kar, karo kamna purti.
Jai Maa Santoshi !

No comments: